is jaankari ko chhod dein

parivar ke liye madad | bachchon ki parvarish

maata-pita apne bachchon ki parvarish kaise kar sakte hain?

maata-pita apne bachchon ki parvarish kaise kar sakte hain?

 aapko kya pata hona chahiye?

 kuch sanskritiyon mein aaj bhi bachchon ka apne mummy-papa ke saath gehra rishta hai aur woh salah lene ke liye unke paas jaate hain. magar kuch aisi sanskritiyaan bhi hain, jahaan bachche madad ke liye apne hamumra doston ke paas jaate hain.

 jab bachche, mummy-papa ke bajay apne doston se salah-mashvira karte hain, to woh yah dikhate hain ki unki nazar mein mummy-papa ki koi ahmiyat nahin. aur jaise-jaise woh bade hote hain, unke mummy-papa ko lagne lagta hai ki unka bachcha haath se nikal gaya hai. jab bachche apne doston ke saath had-se-zyada vakt bitate hain, to yah aisa hai maano unki parvarish maata-pita nahin balki unke dost kar rahe hain!

 aakhir kya vajah hai ki bachche apne mummy-papa se zyada doston ke kareeb ho jaate hain? aaiye kuch kaarnon par gaur karein.

  •   school. jab bachche apna zyadatar samay doosre bachchon ke saath bitate hain, to unmein gehri dosti ho jaati hai. aur unke liye mummy-papa ki baat maanne se badhkar, doston ki baat maanna zyada zaroori ho jaata hai. jaise-jaise bachche bade hone lagte hain unmein yah ravaiya aur zyada jad pakadne lagta hai.

    bachchon ko school ke doston ke bajay apne mummy-papa ko khush karna chahiye

  •   saath mein kam samay bitana. kai gharon mein jab bachche school se ghar lautte hain, to ghar par koi nahin hota. kyonki mummy ya papa ya donon hi kaam par hote hain.

  •   bachchon ka rang-dhang. jab bachche bade hone lagte hain, to doston ke saath unki ek alag hi duniya ban jaati hai. unke jeene ka tareeka badal jaata hai. jaise, kaun-se kapde pehanne hain, kis tarah baat karni hai aur kaise uthna-baithna hai. umra ke is padav mein unke liye yahi sabse zyada maayne rakhta hai ki unke dost unke baare mein kya sochte hain.

  •   marketing. aajkal ki companiyaan apni zyadatar cheezen aur manoranjan ka kaaryakram, javanon ko dhyan mein rakhkar banati hain. isse bachchon aur badon ke beech ki doori aur badh gayi hai. dr. robert epstein ka kehna hai, ‘agar javanon ki ek alag jeevan-shaili nahin hogi, to karodon rupaye kamanevali ye companiyaan raaton-raat doob jaayengi.’ *

 aap kya kar sakte hain?

  •   bachchon ke saath apna rishta mazboot banaiye.

     bible mein likha hai: “aaj main tujhe jo aagyayen de raha hoon, woh tere dil mein bani rahein. aur tu inhein apne beton ke man mein bithana aur apne ghar mein baithe, sadak par chalte, lette, uthte inke baare mein unse charcha karna.”​—vyavasthavivran 6:6, 7.

     haalaanki dost hona zaroori hai, magar ye dost kabhi-bhi maata-pita ki tarah salah nahin de sakte. lekin khushi ki baat yah hai ki kai jaankaar maante hain ki zyadatar bachche aur naujvan apne mummy-papa ki izzat karte hain aur unki baat maanna chahte hain. isliye maata-pitao, bachchon ki parvarish karne mein haar mat maaniye! apne bachchon ke saath mazboot rishta banaiye, tab aapke bachche apne doston se zyada aapki baat maaneinge.

     “aapko apne bachche ko vakt dena hoga aur har roz uske saath milkar kaam karna hoga. jaise, khaana pakana, ghar saaf karna aur unka homework karana. unke saath kheliye-koodiye, filmein ya TV dekhiye. yah mat sochiye ki bachche ke saath kuch vakt bitakar aapki zimmedari poori ho jaayegi. agar aap apne bachche ke saath ek mazboot rishta banana chahte hain, to unhein vakt deejiye!”​—lorraine.

  •   sirf bachchon ke hamumra doston par nirbhar mat rahiye.

     bible mein likha hai: ‘bachche ya javan ke man mein moorkhta basi hoti hai.’​—neetivachan 22:15, footnote.

     kuch mummy-papa is baat se bahot khush hote hain ki unke bachche ke bahot saare dost hain. lekin itna kaafi nahin hain. kyonki sirf hamumra dost hone se aapka bachcha zimmedar nahin banega. itna hi nahin, use hamumra doston se woh salah aur maargdarshan nahin mil sakta, jo use apne mummy-papa se milta hai. isliye use alag-alag umra ke logon ke saath dosti karni chahiye.

     “hamumra doston ke paas thodi-bahot jaankari to hoti hai, magar unke paas itna tajurba ya samajh nahin hota ki woh apne doston ko faisle lene mein madad kar paayen. isliye jab bachche apne mummy-papa se madad lete hain, to woh samajhdar insan bante hain.”—nadia.

  •   buddhi-bhari salah deejiye.

     bible mein likha hai: “buddhimanon ke saath rehnevala buddhiman banega.”​—neetivachan 13:20.

     bade hone ke baad bhi bachche jitna zyada vakt maata-pita ke saath bitayenge, utna hi unhein faayda hoga. isliye apne bachche ke liye ek achhi misal baniye.

     “bachchon ke liye unke mummy-papa hi sabse badhiya udahran hote hain. agar bachchon ko apne mummy-papa ki izzat karna sikhaya jaaye, to bade hokar woh bhi unki tarah baneinge.”​—katherine.

^ yah jaankari, teen 2.0​—saving our children and families from the torment of adolescence kitab se hai.