is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshiyon ke kaam ke liye paisa kahaan se aata hai?

yahova ke sakshiyon ke kaam ke liye paisa kahaan se aata hai?

hamare kaam ka zyadatar kharch yahova ke sakshiyon * ke swechha se diye gaye daan se hota hai. daan dene ke kai tareeke hain. hamari sabhaon mein daan-petiyaan rakhi jaati hain, jismein koi bhi daan daal sakta hai. doosre tareekon ke baare mein hamari website ke “daan” page par bataya gaya hai. is “daan” page par kai vikalp hain. jo vyakti daan dena chahta hai, woh “poori duniya mein honevale kaam ke liye,” sthaneeya kaam ke liye ya fir donon hi kaamon ke liye daan de sakta hai.

yahova ke sakshiyon se maang nahin ki jaati ki woh apni kamai ka dasvaan hissa daan karein aur na hi unse ek tay rakam daan karne ke liye kaha jaata hai. (2 kurinthiyon 9:7) jo hamari sabhaon mein haazir hona chahte hain, unse hum na to paise lete hain na hi chanda maangte hain. hum baptisma, shok-sabha, shaadi ya doosre dhaarmik kaamon ke liye bhi kisi se paise nahin lete. hum carnival, lottery, logon ko khaana khilakar, mela lagakar, baazar lagakar ya aise hi doosre kaaryakram karke daan ikattha nahin karte. hum daan denevale vyakti ki jaankari gopneeya rakhte hain aur uske diye daan ke baare mein doosron ko koi bhi jaankari nahin dete. (matti 6:2-4) paise ikatthe karne ke liye hum apni website par ya prakashanon mein kisi bhi tarah ka vigyapan nahin dete.

yahova ke sakshiyon ki mandliyaan har maheene apni sabha mein ek report pesh karti hain, jo sabhi ke liye uplabdh hoti hai. iske alava, niyamit taur par mandli ke account record ki jaanch (audit) ki jaati hai. isse pakka kiya jaata hai ki daan ka paisa sahi tarah istemal kiya jaa raha hai.—2 kurinthiyon 8:20, 21.

daan dene ke tareeke

  • daan-peti: aap paise ya cheque ke zariye daan kar sakte hain. hamare raaj-ghar, sammelan bhavan aur jahaan hamari sabhayen hoti hain, vahaan daan-peti rakhi jaati hain. aap apna daan is daan-peti mein daal sakte hain.

  • online daan: kai deshon ke log online daan karne ke liye “yahova ke sakshiyon ko daan deejiye” page ka istemal karte hain. woh credit card, debit card, bank transfer ya koi aur electronic tareeke se daan karte hain. * kai sakshi daan karne ke liye har maheene kuch paise ‘alag rakhte hain.’ (1 kurinthiyon 16:2) iske liye woh niyamit taur par daan (recurring donation) ka schedule banate hain aur aisa woh online ya doosre tareekon se karte hain.

  • daan dene ki yojnayen: daan dene ke kuch tareeke aise hain, jinke liye pehle se yojna banani padti hai ya fir kaanooni salah lena zaroori hota hai. agar aapke desh mein kar ke maamle mein riyayat paane ka intazam hai, to yojna banakar daan dene se aapko kar ke maamle mein faayda ho sakta hai. kai logon ko yojna banane se faayda hua hai. unhonne is baare mein jaankari ikattha kee ki daan (charitable gift) dene ke kaun-se tareeke hain. kuch tareeke aise hain jinmein ek vyakti jab daan karta hai, tabhi se daan paanevale ko faayda hone lagta hai. lekin kuch tareeke aise hain jinmein woh daan to karta hai, par uska faayda, daan paanevale ko uski maut ke baad hoga. agar aap aage bataye kisi tareeke se daan karna chahte hain, to kripaya apne desh ke yahova ke sakshiyon ke shaakha daftar se sampark karein.

    • bank khaate

    • beema aur retirement ya pention yojna

    • zameen-jaaydad

    • stocks aur bonds

    • vaseeyatnama aur trust

aapke desh mein daan dene ke kya tareeke hain, is baare mein zyada jaanne ke liye “yahova ke sakshiyon ko daan deejiye” page dekhein.

^ para. 1 jo yahova ke sakshi nahin hain, woh bhi hamare kaam ke liye khushi-khushi daan dete hain.

^ para. 5 zyada jaankari ke liye internet ke zariye daan kaise dein?  video dekhiye.