is jaankari ko chhod dein

kya aap yahova ke sakshi maseehi hain?

kya aap yahova ke sakshi maseehi hain?

ji haan. hum in vajahon se maseehi hain:

  • hum yeeshu maseeh ki shikshaon aur uske taur-tareekon ko apnane ki poori koshish karte hain.—1 patras 2:21.

  • hum maante hain ki yeeshu ki badaulat hi hamein uddhaar mil sakta hai, “kyonki parmeshvar ne hamein uddhaar dilane ke liye dharti par insanon mein koi aur naam nahin chuna.”—preshiton 4:12.

  • jab koi yahova ka sakshi banta hai, to woh yeeshu ke naam se baptisma leta hai.—matti 28:18, 19.

  • hum yeeshu ke naam se parmeshvar se prarthna karte hain.—yuhanna 15:16.

  • hum maante hain ki yeeshu har purush ka sir hai yaani use har purush par adhikar diya gaya hai.—1 kurinthiyon 11:3.

lekin hum kai tareekon se un dhaarmik samoohon se alag hain jo khud ko isai ya maseehi kehte hain. jaise, hum maante hain ki bible sikhati hai ki yeeshu, parmeshvar ka beta hai na ki triyek ka ek hissa. (markus 12:29) hum nahin maante ki insanon mein amar aatma jaisi koi cheez hoti hai, ya bible mein kahin bataya gaya hai ki parmeshvar narak ki aag mein insanon ko hamesha ke liye tadpata hai. na hi hum maante hain ki dhaarmik kaamon mein aguvai lenevalon ko aisi upadhi di jaani chahiye jo unhein doosron se oopar uthaye.—sabhopdeshak 9:5; matti 23:8-10.